KHud-kushi

wo raat gahri
us par tutte jismon ka bojh

jhonpadon mein unghte nange charaghon ki bhadak
karb ka elan taza

yak-ba-yak
masjidon mein jal uthi naron ki bosida zaban

tharthara kar gir pade sajdon mein log
goliyon ki tadtadahat

khun mashal zulm maut
khanjaron ke panw se raundi hui doshizgi

kuchh nahin kuchh bhi nahin hai
khauf se larzan sharafat khud-kushi ka nam hai

bandagi puja ibaadat is liye badnam hai
sab ganwa kar ganw wale gidgidate rah gae

ganw ki sab betiyan daku utha kar le gae
pasban khamosh hain ahl-e-siyasat bhi khamosh

rishwaton par bikne wali har adalat bhi khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close