uf ye bedard siyahi ye hawa ke jhonke kis ko malum hai is shab ki sahar ho ki na ho ek nazar tere dariche ki taraf dekh to lun dubti aaankhon mein phir tab-e-nazar ho ki na ho abhi raushan hain tere garm shabistan ke diye nil-gun pardon se chhanti hain shuaen ab tak ajnabi banhon ke halqe mein lachakti hongi tere mahke hue baalon ki ridaen ab tak sard hoti hui batti ke dhuen ke hamrah hath phailae badhe aate hain ojhal sae kaun ponchhe meri aaankhon ke sulagte aansu kaun uljhe hue baalon ki girah suljhae aah ye ghaar-e-halakat ye diye ka mahbas umar apni inhi tarik makanon mein kati zindagi fitrat-e-be-his ki purani taqsir ek haqiqat thi magar chand fasanon mein kati kitni aasaishen hansti rahin aiwanon mein kitne dar meri jawani pe sada band rahe kitne hathon ne buna atlas-o-kamkhwab magar mere malbus ki taqdir mein paiwand rahe zulm sahte hue insanon ke is maqtal mein koi farda ke tasawwur se kahan tak bahle umar bhar rengte rahne ki saza hai jina ek do din ki aziyyat ho to koi sah le wahi zulmat hai fazaon pe abhi tak tari jaane kab khatm ho insan ke lahu ki taqtir jaane kab nikhre siyah-posh faza ka jauban jaane kab jage sitam-khurda bashar ki taqdir abhi raushan hain tere garm shabistan ke diye aaj main maut ke ghaaron mein utar jaunga aur dam todti batti ke dhuen ke hamrah sarhad-e-marg-e-musalsal se guzar jaunga