ye ashkon ki hiddat khuda jaanta hai ki kis jazba-e-na-rasa ki hai shiddat in ashkon ke pichhe chhupi dastanon ke hain rang kitne khuda jaanta hai chamak mein in ashkon ki kitni tamannaon ke dip ki jhilmilahat khuda jaanta hai rawani mein in ki safar-dar-safar masafat ka ek silsila hai aur in aansuon mein kashish ka wo saman jo be-kaif rishton ke bar-e-garan hi ka ek masala hai ye aansu jo yun dhal rahe hain khuda jaanta hai ki kis mandgi ka ishaara banenge