khuda ka ghar nahin koi bahut pahle hamare ganw ke akasr buzurgon ne use dekha tha puja tha yahin tha wo yahin bachchon ki aankhon mein lahakte sabz pedon mein wo rahta tha hawaon mein mahakta tha nadi ke sath bahta tha hamare pas wo aankhen kahan hain jo pahadi par chamakti bolti aawaz ko dekhen hamare kan bahre hain hamari ruh andhi hai hamare waste ab phul khilte hain na konpal gungunati hai na khamoshi akele mein sunahre git gati hai hamara ahd! man ke pet se andha hai bahra hai hamare aage pichhe maut ka tarik pahra hai