mere rab ki mujh par inayat hui kahun bhi to kaise ibaadat hui haqiqat hui jaise mujh par ayan qalam ban gaya hai khuda ki zaban mukhatib hai bande se parwardigar tu husn-e-chaman tu hi rang-e-bahaar tu mearaj-e-fan tu hi fan ka singhaar musawwir hun main tu mera shahkar ye subhen ye shamen ye din aur raat ye rangin dilkash hasin kaenat ki hur-o-malaik wo jinnat mein kiya hai tujhe ashraf-ul-makhluqat meri azmaton ka hawala hai tu tu hi raushni hai ujala hai tu farishton se sajda bhi karwa diya ki tere liye main ne kya na kiya ye duniya jahan bazm-araiyan ye mahfil ye mele ye tanhaiyan falak ka tujhe shamiyana diya zamin par tujhe aab-o-dana diya mile aabshaaron se bhi hausle pahadon mein tujh ko diye raste ye pani hawa aur ye shams-o-qamar ye mauj-e-rawan ye kinara bhanwar ye shakhon pe ghunche chatakhte hue falak pe sitare chamakte hue ye sabze ye phulon-bhari kyariyan ye panchhi ye udti hui titliyan ye shoala ye shabnam ye mitti ye sang ye jharnon ke bajte hue jal-tarang ye jhilon mein hanste hue se kanwal ye dharti pe mausam ki likkhi ghazal ye sardi ye garmi ye barish ye dhup ye chehra ye qad aur ye rang-rup darindon charindon pe qabu diya tujhe bhai de kar ke bazu diya bahan di tujhe aur sharik-e-safar ye rishte ye nate gharana ye ghar ki aulad bhi di diye waldain alif lam mim kaf aur ain ghain ye aql-o-zahanat shuur-o-nazar ye basti ye sahra ye khushki ye tar aur is par kitab-e-hidayat bhi di nabi bhi utare shariat bhi di gharaz ki sabhi kuchh hai tere liye bata kya kiya tu ne mere liye