KHuda sab kuchh dekhta hai

khuda dekhta hai mere kaam ko
wo sunta hai kahta hun main baat jo

khuda har jagah hai mujhe dekhta
mere dil ki baaten hai wo jaanta

main hun khel mein ya madrase mein hun
rahun apne ghar mein ki raste mein hun

main sota hua hun ki hun jagta
akela mujhe wo nahin chhodta

wo nazdik mere hai rahta sada
koi waqt ho subh ya sham ka

chamakta wahi hai andhere mein bhi
nahin dur rahta hai mujh se kabhi

wo duniya mein maujud hai har kahin
khuda se jagah koi khali nahin

khuda ki nazar hai mohabbat bhari
wo hai aasman se mujhe dekhti

khuda tu mujhe achchha ladka bana
har ek kaam mujh se tu achchha kara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close