ai dil-e-afsurda wo asrar-e-baatin kya hue soz ki raaten kahan hain saz ke din kya hue aansuon ki wo jhadi wo gham ka saman kya hua tera sawan ka mahina chashm-e-giryan kya hua kya hui baala-e-sar wo lutf-e-yazdan ki ghata aasman-e-dil pe wo ghanghor irfan ki ghata ab wo nalon ki garaj hai ab na wo shor-e-fughan ab na uthta hai kaleja se mohabbat ka dhuan apne afal-e-siyah par ab pashemani nahin ab pasine ke sitare zeb-e-peshani nahin dard ki muddat se ab dil mein chamak hoti nahin wo tapak chhaalon ki kaunde ki lapak hoti nahin zikr-e-maula se labon par ab wo narmi hi nahin bhap sine se uthe kya dil mein garmi hi nahin ab sharare soz-e-gham ke dil mein rahte hi nahin ashk ab pichhle pahar aankhon se bahte hi nahin marifat dil mein na ab wo ruh mein ehsas hai log kahte hain ki hai lekin hamein to yas hai ab na wo aankhon mein ashk-e-khun na wo dil mein gudaz ab na wo sham-e-tamanna hai na wo subh-e-niyaz khushk hain aankhen jabinen tang sine sard hain ab na wo dukhte hue dil hain na chehre zard hain aah ki aur dil umand aaya ye hota hi nahin dub kar zauq-e-fana mein koi rota hi nahin phul daghon se khile the jis dil-e-sarshaar mein khak ab muddat se udti hai usi gulzar mein aansuon se nam jo rahta tha wo daman jal gaya lahlahata tha jo sine mein gulistan jal gaya ruh mein baalidgi ki quwwaten madum hain donon aankhen aansuon ke faiz se mahrum hain pech-o-kham se bahne wala dil ka dariya khushk hai wo bhari barsat yani chashm-e-bina khushk hai khun hai dil mein magar pahli si tughyani nahin abr hai baad-e-mukhalif se magar pani nahin jab ye aalam hai to barish ki shikayat kis liye be-mahal ye hasrat-e-baran-e-rahmat kis liye ek mujassam khushk-sali khud hamari zat hai zid hamari hastiyon ki abr hai barsat hai rahmaton se josh mein aane ki khwahish kya karen khud sarapa qaht hain ummid-e-barish kya karen
This is a great sawan somwar shayari. True lovers of dukhi shayari nepali will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this shravan mahina shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!