KHwab ghar

ab yahan main hun sirf main
is bikhre saman darmiyan

tum tumhin to ghar tha
ghar tha to zindagi bhar se rahne ki ummid

har subh pael ki jhankar ummid
har subh tumhaari khushbu bhare bistar mein pyali chae par

guzarte waqton ki baaten
aankhon aankhon mein baaten jiten maten

tum bina sune ghar mein tumhaare pairon ki chap ke khwab
ye chap ab jahan gunjti hai

tumhaare pair jis makan mein farsh-e-zamin ko chhute hain
wo makan mera ghar nahin

mera ghar to bas ye khwab hain
bikhre saman darmiyan bikharte khwab

jinhen telephone line par sunna sunana teri meri saza hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close