mohabbat ka naghma sunao to jaanun qarib aa ke phir muskurao to jaanun ye mana ki tum ghair ki ho chuki ho mujhe yaad bhi ab na aao to jaanun tumhein dahr ki sari khushiyan mubarak mujhe aandhiyan gham ki ras aa gai hain azal se jo hain aashiqon ka muqaddar wo mayusiyan mere pas aa gai hain main sahil se ukhda to ab jaan paya ki sahil ko kyon dhundhta hai zamana jo himmat se tufan ka munh modte hain hai un ka muqaddar bhi kyon dub jaana meri zist hai barf ka ek tuda samundar mein jo waqt ke bah raha hai meri bebasi ka gham-agin fasana zaban-e-khamoshi se wo kah raha hai sharab-e-masarrat se labrez thin jo in aankhon mein viraniyan chha rahi hain kiya tu ne jis din se qat-e-talluq mere sar pe aafat mandla rahi hain haqaeq ke khunkhar shoalon mein ab to shuaen sahar ki dhali ja rahi hain mere khub-surat se khwabon ki faslen tamazat se un ki jali ja rahi hain