jism be-jaan hai patthar si bani hain aankhen aur ek khauf ka malbus pahan kar koi ghurta rahta hai har-waqt khala mein shayad aaina-khanon ki maqhur-numa chahat mein aks-dar-aks bikharti hui parchhaiyan hain aur sannaton ki gambhir sada hai har-su shakh-dar-shakh khizan nauha-kunan hai har-su aise mahaul mein jina bhi hai khwab ke aakhiri hisse mein husain-ibn-e-ali ek paigham yahi de ke guzar jate hain