na jaane kaun si saat mein ye guman hua baid khwab ke rauzan se jhankta hai koi ghunuda zehn ke aafaq ho gae raushan kasal ke sath shuur-e-zaman hua bedar pas-e-shuur jo bikhre pade the mashkize tulua-e-zat ke ehsas se hue labrez magar wo khwab jo gharq-e-shuur the yaksar bisat-e-chashm pe jin ko abhi ubharna tha wo sare khwab kahin aur kar gae hijrat wo khwab jo mere mazi ke aabgine the wo khwab jin se mera haal tha abhi mansub wo khwab jo meri maujudgi ke zamin the jo aabna-e-tasawwur ki lahr bante the bisat-e-chashm pe jin ko abhi ubharna tha wo sare khwab kahin aur kar gae hijrat na jaane kaun si saat mein ye guman hua baid khwab ke rauzan se jhankta hai koi