KHwab

surkh dhalakte aanchal se chhalakte
siyah pechida khwab

ki jab soch ki gahraiyon ko phalangte hue
apni haden par karne ki koshish karte hain

to sang-zani ka andesha hota hai
kyunki adhure khwab-o-khayal kufr ki manind hote hain

wo kufr jis pe sang-zani ki dafa lag jae
aur ek ek sang jism ko chhuta hua

ruh mein utarta hai to
sang ki si pukhtagi ka ehsas hota hai

soch ki gahraiyon se umandti hui
pechida lahren jab makan ki wusaton ko takraati hain

to khwabon ko chakna-chur karti hui
haqiqaton ka mandir takhliq karti hui

ek tali lagati jati hain
ki ab ke bar koi aae to khabar ho jae

kyunki be-khabari taklif deti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close