KHwab se tabir tak

main us insan se
waqif hun

jis ne
madine ki zamin-e-pak se

kuchh khak la kar
banai thin

kanhayya ki shabihen
ram aur lachhman ki taswiren

sar-e-chashm-e-aqidat
shiw ki murat thi

kahin arjun ki surat
jilau mein in buton ke

tha wahan
rawan ka bhi paikar

wo gagar
jis mein wo

kuchh aab-e-zam-zam
bhar ke laya tha

tabarruk ki tarah
us ne milaya ganga-jal us mein

diye phir ghusl us ne
in buton ko

usi pani se
jis mein ruh ki

khushbu mahakti thi
mohabbat gungunati thi

hua phir ye
yakayak

sare hi but
jag utthe

aadmi ka rup le kar
phir us ke baad

meri aankhon ne dekha
ki us ki lash thi

aur khuni panje
dewtaon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close