KHwahishon ke aas-pas

khokhle sinon mein bahta hai masihai azab
khair-o-shar ke masale sab aaj bhi ham-dosh hain

raqs mausiqi adab ehsas aur fikr-o-bayan
karb mein dube hue khakistar-e-khamosh hain

tishnagi munh khol kar leti hai jalte farsh par
aasman roe to tar ho aarzuon ka libas

khwahishon ki mithi mithi aanch ki lazzat mein gum
aadmi bas ghumta hai khwahishon ke aas-pas

log nange jism be-chehra darakhton ki tarah
dhundte hain apne baatin mein hawas ki tazgi

chand tera saaton ki jadui lau ke tufail
hum wajudon ki daradon mein phanse hain aaj bhi

hath mein khanjar nigahon mein liye kuchh masale
har bashar par khanda-zan ye koi dayan hai ki raat

apne aanchal mein samete kul jahan ki zulmaten
mahw-e-ghaflat bhilni ka talkh joban hai ki raat

pattharon par jism ragdo quwwaten yakja karo
khud ko sulgao ki sari raat ye mashal jale

aag hi to shan-e-lab hai aag ugalte jao tum
khwah shahr-e-dil jale ya jism ka jangal jale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close