kis se puchhun jab bhi koi nazm mukammal ho jati hai mere andar ek khala kyon bhar jata hai kyon mujh ko aisa lagta hai jaise mere khwab kisi ne chhin liye hain zakhmon ke mahtab kisi ne chhin liye hain kis se puchhun nazm mukammal hote hi kyon be-chehra yaadon ke panchhi dard ke mausam mere badan se kyon hijrat karne lagte hain mere andar tanhai ka khauf utarne lagta hai kyon kis se puchhun lamhe bhar ki takhliqi lazzat ki khatir main sadiyon ke gham se apni mahrumi par kyon raazi ho jata hun