barahna jism pasine mein gharq nange panw magar sukun hai yun dil mein jaise thandi chhanw gehun ke khet se kutiya mein apni aaya hai tasawwuraat ki duniya bhi sath laya hai hai ek phati hui kambal gharib kandhon par siyah abr pe rah rah kar uth rahi hai nazar pada hai khet ka saman ek kone mein hain is ki zist ke asrar pa ke khone mein nafas hai phuli hui jaise phunk bhatte ki rakhi hai kan pe bidi bana ke patte ki lahu ki lahr si hai maujzan pasine mein baqa-e-dahr ka hai raaz us ko jine mein har ek sans hai is ki bahaar-e-azadi ki is ghulam ka dil hai dayar-e-azadi