kitabi kiDe

ek nazm se
dusri nazm tak jaane mein

wo ziyaada waqt nahin lete
agar kahin likha hua ho

dariya
aur us ke baad koi pul na ho

tab inhen koi nahin rok sakta
wo bahut tez tez chalte hue

sada bahaar phulon ke namon se
khizan mein girne wale

aakhiri pate tak ja pahunchte hain
agar hamari nazmon ka shair

kisi kahani mein
apni mahbuba se aakhiri bar mil raha ho

ya kisi drame mein use pahli dafa dekh raha ho
unhen ziyaada der nahin lagti

mohabbat ko khatm karte hue
stage ko dimak lagate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close