kiya karte hain dildari dil-azari nahin karte hansane ke liye hum baat bazari nahin karte mazah-o-tanz mein malhuz rakhte hain matanat ko kabhi majruh hum karte nahin lafzon ki hurmat ko jo kam shadab chehre hain unhen shadab karte hain jo kam-sin hain bahut jhuk kar unhen aadab karte hain ujale ko ujala raat ko hum raat kahte hain saliqe se ba-andaz-e-digar har baat kahte hain badha kar baat duguni ya kabhi tiguni nahin kahte kisi kam-qad hasina ko kabhi thigni nahin kahte kisi nazuk badan ko hum kabhi moti nahin kahte kisi moti se moti ko double-roti nahin kahte jo misguide kare us ko to misguide nahin karte bhalai ko kisi bhi taur sab side nahin karte banate hain har ek mahaul ko hum pur-faza yaro qaba-e-gul ko chhute hain ba-andaz-e-saba yaro kisi mis se jo nadani mein kuchh mistake ho jae dua karte hain nadani bhi fal-e-nek ho jae
This is a great hansane wali shayari. Please share if you liked this!!!