koi aawaz deta hai harir-o-parniyan jaisi sadaon mein koi mujh ko bulata hai kuchh aisa lams hai aawaz ka jaise achanak fakhta ke dher se komal paron par hath pad jae aur un mein dubta jae bahut hi dur se aati sada hai main lafzon ke maani ki gawahi de nahin sakti magar har lafz mein ghungru bandhe hain harim-e-jaan mein un ke panw dharte hi kai bechain pazeben dhadakti hain lamhon mein ek diwali si sajti hai koi aawaz deta hai harir-o-parniyan jaisi sadaon mein koi mujh ko bulata hai