koyal

o chaman ki ajnabi chidiya! kahan thi aah! tu
kya kisi sahra ke daman mein nihan thi aah! tu

tere dilkash zamzame the sabza-zaron mein khamosh
aashiyana tha tera gulshan mein bazm-e-be-kharosh

khinchti waqt-e-sahar dil ko teri ku-ku na thi
chhanw mein taron ki mahw-e-naghma-e-dil-ju na thi

mausam-e-sarma mein ai sarmaya-e-sabr-o-shakeb
be-sada tera pas-e-parda tha saz-e-dil-fareb

marhaba ai paikar-e-paik-e-subuk-gam-e-bahaar
le ke phir tu garmiyon mein aai paigham-e-bahaar

tu idhar aai faza-e-gul ka daur aaya udhar
tu ne gae git aur aamon ka baur aaya udhar

tairan-e-bagh ne chheda hai saz-e-imbisat
tere maqdam mein hai shakhon par ham-ahang-e-nashat

pahni nannhi nannhi kaliyon ne qaba-e-shabnamin
aa rahi hai kan mein teri sada-e-dil-nashin

koi anjum aasman ka aur subuk parwaz-e-shauq
rahnuma hai kya tera dil-dada-e-andaz-e-shauq

tu jo aane wale mausam ka nishan pati hui
apni manzil par pahunch jati hai yun gati hui

tere maqdam mein shakeb-e-khatir-e-na-shad main
mausam-e-gul ko bhi deta hun mubarakbaad main

tu chaman mein ud ke kya aai ki aa pahunchi bahaar
ga rahi hain chhoti chidiyan sabz kunjon mein malhaar

daman-e-rangin mein ek doshiza-e-nakat-khuda
chun rahi hai nannhi nannhi surkh kaliyan khushnuma

aur tujh se ham-surud-e-naghma-e-ejaz hai
bazm-e-qudrat mein teri goya sharik-e-raaz hai

mithe naghme gane wali o chaman ki naznin
hai tar-o-taza hamesha tera kunj-e-dil-nashin

aur musaffa hai faza-e-asman tere liye
hai shafaq-jam-e-sharab-e-arghawan tere liye

tere naghmon mein asar andoh-e-hirman ka nahin
sal mein tere guzar fasl-e-zamistan ka nahin

mujh ko qassam-e-azal deta agar do baal-o-par
ud ke hota main bhi tere sath sargarm-e-safar

ban ke hum donon rafiq-e-mausam-e-josh-e-bahaar
karte khush khush har baras gul-gasht-e-dasht-o-kohsar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close