ai dekhne walo is husn ko dekho is raaz ko samjho ye naqsh-e-khayali ye fikrat-e-ali ye paikar-e-tanwir ye krishn ki taswir mani hai ki surat sanat hai ki fitrat zahir hai ki mastur nazdik hai ya dur ye nar hai ya nur duniya se nirala ye bansuri wala gokul ka gwala hai sehr ki eajaz khulta hi nahin raaz kya shan hai wallah kya aan hai wallah hairan hun kya hai ek shan-e-khuda hai but-khane ke andar khud husn ka but-gar but ban gaya aa kar wo turfa nazzare yaad aa gae sare jamuna ke kinare sabze ka lahakna phulon ka mahakna ghanghor ghataen sarmast hawaen masum umangen ulfat ki tarangen wo gopiyon ke sath hathon mein diye hath raqsan hua brijnath bansi mein jo lai hai nashsha hai na mai hai kuchh aur hi shai hai ek ruh hai raqsan ek kaif hai larzan ek aql hai mai-nosh ek hosh hai madhosh ek khanda hai sayyal ek girya hai khush-haal ek ishq hai maghrur ek husn hai majbur ek sehr hai mashur darbar mein tanha lachaar hai kirishna aa shyam idhar aa sab ahl-e-khusumat hain dar pae izzat ye raj dulare buzdil hue sare parda na ho taraj bekas ki rahe laj aa ja mere kale bhaarat ke ujale daman mein chhupa le wo ho gai an-ban wo garm hua ran ghaalib hai duryodhan wo aa gae jagdish wo mit gai tashwish arjun ko bulaya updesh sunaya gham-zad ka gham kya ustad ka gham kya lo ho gai tadbir lo ban gai taqdir lo chal gai shamshir sirat hai adu-soz surat nazar-afroz dil kaifiyat-andoz ghusse mein jo aa jae bijli hi gira jae aur lutf par aae to ghar bhi luta jae pariyon mein hai gulfam radha ke liye shyam balram ka bhayya mathura ka basayya bindra mein kanhayya ban ho gae viran barbaad gulistan sakhiyan hain pareshan jamuna ka kinara sunsan hai sara tufan hain khamosh maujon mein nahin josh lau tujh se lagi hai hasrat hi yahi hai ai hind ke raja ek bar phir aa ja dukh dard mita ja abr aur hawa se bulbul ki sada se phulon ki ziya se jadu-asari gum shorida-sari gum han teri judai mathura ko na bhai tu aae to shan aae tu aae to jaan aae aana na akele hon sath wo mele sakhiyon ke jhamele
This is a great madhosh mohabbat shayari. True lovers of krishna shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore art shayari. Please share if you liked this!!!