jinhen ishq se wasta kuchh nahin unhen husn se kya mila kuchh nahin jahan zohd-e-khushk aa gaya us jagah mohabbat murawwat wafa kuchh nahin khuda jaane kis dil se kahte hain log hasin aur un ki ada kuchh nahin nahin hain jo tanwir-e-dil mah-wash shab-e-mah mein bhi maza kuchh nahin sharar hain ye hansmukh sitare agar to har khanda-e-khush-numa kuchh nahin nazar ke hain dhoke manazir agar to phir ye chaman ye faza kuchh nahin hakimon pe hairat na ho kyon mujhe badha ilm to kah diya kuchh nahin na saqi na saghar na shahid na bagh maal in ki tahqiq ka kuchh nahin wajud un ka meri nazar mein bhi kya adam hai adam ke siwa kuchh nahin kahun kaise hasti ke gulzar mein fana hi fana hai baqa kuchh nahin main khush husn se hun siwa husn ke meri zist ka muddaa kuchh nahin agar meri nazron se dekhe koi baqa hi baqa hai fana kuchh nahin ye mamura-e-husn hai to yahan khushi hai khushi ke siwa kuchh nahin nigah-e-haqiqat ras-e-husn se talluq gham-o-ranj ka kuchh nahin maze ahl-e-dil ke liye hain bahut kaha main ne kab yan maza kuchh nahin ye saqi ye saghar ye shahid ye bagh halawat hai dil mein to kya kuchh nahin