kuchh to kah wasl ki phir raat chali jati hai din guzar jaen hain par baat chali jati hai rah gae gah tabassum pe gahe baat hi par bare ai ham-nashin auqat chali jati hai tuk to waqfa bhi kar ai gardish-e-dauran ki ye jaan umr ke haif hi kya sat chali jati hai yan to aati nahin shatranj-zamana ki chaal aur wan bazi hui mat chali jati hai roz aane pe nahin nisbat-e-ishqi mauquf umr bhar ek mulaqat chali jati hai shaikh-e-be-nafs ko nazla nahin hai nak ki rah ye hai jiryan-e-mani dhat chali jati hai khirqa mindil o rida mast liye jate hain shaikh ki sari karamat chali jati hai hai muazzin jo bada murgh musalli us ki maston se nok hi ki baat chali jati hai panw rukta nahin masjid se dam-e-akhir bhi marne par aaya hai par lat chali jati hai ek hum hi se tafawut hai sulukon mein 'mir' yun to auron ki mudaraat chali jati hai
This is a great nazla zukam shayari. True lovers of wafa shayari 2 line will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore shatranj shayari in urdu. Please share if you liked this!!!