agar tum kisi din kuchh ban jao yani tum ek harf ban jao jo ab tak kisi huruf-e-tahajji ka hissa na ho tu jadliyati maddiyat ke mutabiq kya hogi tumhaari haisiyat kya kahenge tumhaare bare mein ahl shariat kis maqam par rakhenge tumhein ahl-e-tariqat? kaun si jamhuriyat tumhein qubul karegi kya suluk karenge tumhaare sath maherin lissniyat? kaise tai kiya jaega tumhaare liye koi nam? kaise muqarrar ki jaegi aawaz? kya karenge jadidie aur ma-baad-al-jadidie? zarur tumhaara rishta karane ko koshish ki jaegi aur is se pahle tai ki jaegi tumhaari jins lekin kaise tai ki jaegi tumhaari jins kya qubul kar sakega tumhein koi lafz? qubul bhi kar liya kisi matruk ya na-qabil-e-istimal ne to kya karegi grammar kya banega grammar ki kitabon ka? zarur tumhein jila watan kar diya jaega zarur kisi din sab ikatthe honge aur qatl kar dega tumhein ijtimai mafad ya qaumi salamti ke pesh-e-nazar sangsar kar dega na-jaez aur na-tahqiq hone ke jurm mein aur shayad tum bhi yahi samjhoge aaise hone se to behtar hai na hona