dauda dauda chuha aaya aur khargosh ko baitha paya bola yun aaya hun bhai baat zaruri ek yaad aai jaante ho kya kar baithe ho tum jo abhi kha kar baithe ho wo chhoti si sunahri pudiya ye bhi samjhe asl mein thi kya chaunka kuchh kuchh kanon wala kuchh to zarur hai dal mein kala bola chuhe kya kahta hai aakhir tere ji mein kya hai bola chola ho ki chhalawa tum ho nire bachhiya ke bawa dekh ke khate hain chizen bhayya tum jo kha gae tha wo tatayya