aksar likhte hue aata hai dil mein ye sawal kya likhun us ujle sawere ko jo lata hai apne sath dheron ummiden ya likhun raat ke us andhere ko jo de jata hai aankhon mein hazaron sapne kya likhun in mahakti hawaon ko jo har pal ehsas dilati hain ki zinda ho tum ya likhun un an-ginat duaon ko jin mein hun main sirf main kyun na likhun us hasin chand ko jo sikhata hai mujhe sar utha kar aasman ki or dekhna ya likh dun un ujle sitaron ko jo sikhate hain khud ko samet kar chamakte rahna aur agar bikhro bhi to tut kar dua ban jaana