tum jo qatil na masiha thahre na ilaj-e-shab-e-hijran na gham-e-chaaragaran na koi dushna-e-pinhan na kahin khanjar-e-sam-aluda na qarib-e-rag-e-jaan tum to us ahd ke insan ho jise wadi-e-marg mein jine ka hunar aata tha muddaton pahle bhi jab rakht-e-safar bandha tha hath jab dast-e-dua the apne panw zanjir ke halqon se kate jate the lafz taqsir the aawaz pe taziren thin tum ne masum jasarat ki thi ek tamanna ki ibaadat ki thi pa barahna the tumhaare yahi bosida qaba thi tan par aur yahi surkh lahu ke dhabbe jinhen tahrir-e-gul-o-lala kaha tha tum ne har nazzara pe nazzargi-e-jaan tum ko har gali kucha-e-mahbub nazar aai thi raat ko zulf se tabir kiya tha tum ne tum bhala kyun rasan-o-dar tak aa pahunche ho tum na mansur na isa thahre