na jaane wo log gum kahan hain chhalak rahi thi falak ke saghar se rahmat-e-haq ki tund sahba faza-e-ayyam mein mohabbat ki fakhtaen bhi pankh phailae ud rahi thin dayar-e-jarman mein jhankti thin ummid-e-farda ki narm kirnen magar ye aashob-e-waqt ka hai asar ki jis se jhulas gae hain tasawwuron ke hasin chehre faza bhi khamosh ruh betab dur mandir ke dewta chup dhadakte dil ki ye sansanahat khisakte patton ki sarsarahat pade hain khamosh khokhle mandiron ke naqus bujhe pade hain tamaddunon ke hasin fanus yahan ajanta ka aur konark ka fann-e-takhliq hichkiyan le raha hai paiham yahan to ab saumon mein aur masjidon mein ghar kar chuke hain takhrib ke ababil nafas nafas mein ghutan ka jazba ragon mein talkhi hai zahr-e-gham ki bhatakte rahne ko ab khala ke siwa nahin kuchh gae the jo log us taraf se unhin ka hai intizar hum ko wo aaenge kab wo aaenge kab yahan ahinsa ko ghun laga hai yahan mohabbat ki wadiyon mein ugi hai kai payam-e-insaniyat ko goya lagi hai dimak wo dard-e-dil ki lawen jo misl-e-charagh jalti rahi thin sadiyon na jaane kyun aaj bujh chuki hain nazar ko dhundla rahi hai kyun dur ki siyahi gae the kuchh log jo udhar se unhin ka hai intizar hum ko falak ke la-intiha abhi main na jaane wo log gum kahan hain