sannaton ka shab-khun hai hawa ke natkhat taron par dur kahin kuchh aawazon ki sargoshi hai ye na-fahm sadaen kabhi madhur sa-re-ga-ma-pa-dha-ni-sa hain kabhi pighalta sisa hain chaaron jaanib sail-e-hawa hai magar khala hai khushbu rang na tare mein tishna-gosh adam-e-samaat ke mare hain dhundle khwab dekhne ki chahat mein haare hain aankhen do angare hain sannaton ka shab-khun hai dard ki suiyan tik-tik tik-tik karti hain palken hilne julne se bhi darti hain sansen aahen bharti hain ek nuqte par sara aalam simat gaya hai yun lagta hai sanp kisi newle ke badan se lipat gaya hai na-umidi aur ummid ki chaukhat par kaun kisi bhid ke chhatte ko hath lagae dur ki aawazen suljhae nind jagae sannaton ka shab-khun hai aur andhere ghup mein khamoshi ki gunj hai gahri chup mein subh ki pahli kiran nigahon se ojhal hai nafas nafas bojhal hai bas ek dhadkan ki dastak hai jis ki sada par dil labbaik kahe jata hai raushniyon ki angdai tak dil labbaik kahe jaega