kya zindagi hamari sab kuchh hai apne bas mein aazad hain fazaen duniya hai dastaras mein kya kya hamein mila hai kuchh waqt kuchh baras mein lekin jo mud ke dekhen thi ek ajab kahani dushwar kaisa jina mushkil thi zindagani ek aafat-e-musalsal aalam-e-na-gahani rozana subh uthna aasan tha na itna har roz dant khana har roz ka sisakna har baat ke tamashe har baat par jhagadna abba wahin khade hain akhbar padh rahe hain kya kaam hum ko de den har waqt sochte hain aulad ko to apni naukar samajh rahe hain ammi ke samne to bilkul na munh ko kholen hum bad-tamiz thahre go achchhi baat bolen chup-chap hi rahen bas kitna bhi khwar ho len pani baras raha hai par dil taras raha hai wo cycle khadi hai manjha wahin rakha hai kanche yahan pade hain balla wahan khada hai lekin nahin hamein kya lade kamar pe basta school ja rahe hain tarikh ka hai parcha achchha nahin hua to bas band jeb kharcha urdu ka kaam pura kal raat kar liya tha lekin hamein riyazi bilkul samajh na aaya allah ke hain bande hum se hai wasta kya ammi ne sirf danta baalon mein tel dala bhayya ne sirf jhidka baji ne khub tala sab ke liye hai ji mein nafrat ka ek jala bhayya ki cycle ki kis ne hawa nikali hum ko bhala khabar kya har shakhs hai sawali us ne hamari chidiya us din jo tod dali sach hai bahut sitam tha goya the ek khilauna jaise ho sab barabar ghar mein na hona hona dekha nahin kisi ne chhup chhup hamara rona ab ho gaya hai apna har chiz par ijara sab apni zimmedari sab faisle hamare har chiz ikhtiyari lekin wo bachpane ki hai yaad pyari pyari kya zindagi hamari kya zindagi hamari