lafz bolta hai

lafz bolta hai
kaun si ainak

laga kar dekhun
kis zawiye

jhank kar parkhun
wo

ki ek nuqta hai
andar hi andar

sarakta jae
badalta jae

badalta jae
shaklon pe shaklen

chalne lage
ruk sa jae

aur
thahre aise ki chal pade

gum hain
is ki pahnaiyon mein

sahra sahra wusaten
nazar nazar hai

sawal-ba-dosh
har manzar ke

badal jaane par
kai janmon se

guzar jata hun
main

ki ek lamha hun
par

tarikh-dar-tarikh bhatak raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close