main ek lahar ka thahrao jame hue khun ka dauran kate hue hathon ki panja-azmai mera jihad nau-jawan budhon ki na-khud-nawisht meri asriyat tarikh mere ghar ka bujha hua chulha rotiyon se ziyaada bhuk pakata hai mera shahr us aurat ka hamal jo istiqrar se ziyaada isqat dhaalta hai barson pahle natshe ne kaha tha khuda mar gaya aur aaj jama masjid ke pichhe wali basti mein bosida makanon aur tarik galiyon mein ek budha bhi yahi chikhta hai jama masjid ke chaar minaron se rone ki aawazen nashr ho rahi hain