ye aansu be-sabab bante nahin hain inhen tum sirf pani kah ke mat talo bahut se hadse aae magar ye tsunami-lahren har aafat se aage hain hamare dil hila kar aansuon ka sail ban kar bah raha hai hazaron be-sahaara log yun bhi marne wale the magar zer-e-zamin pani samundar ki ye lahren jism ke tukde ko mitti bana kar kha gai hain jise sab zalzale ka nam dete hain aakhir samundar ki ye lahren zamin ko chaak kar ke aain hain is tarah mitti ko mitti se milati hain hamare ashk bahne do ki gham har gam rag rag mein samaya hai hamein gham tha hamari ibtida gham se hui thi aur intiha bhi gham hai magar ye aansuon ka sail bahne do ki shayad kuchh sakun mil jae mere dida-e-bina ko aakhiri lamhe