hatheli ki lakiron mein muqaddar qaid hai umr-e-rawan ke beshtar lamhe na jaane kaun si aasudgi ki justuju mein kitne hi dariyaon ko ek rau mein pichhe chhod aae hain magar sahil pe aa kar mere pyase hont ab tak phadphadate hain meri aankhon mein bhi nakaamiyan hi raqs karti hain magar ehsas ke tarik aangan mein umidon ki kiran sargoshiyan karti sunai jab bhi deti hain to phir se taza-dam ho kar muqaddar se rihai ki jasarat karne lagta hun