ye hawaen ye fazaen ye sulagte ehsas kitne gham badh ke andheron ki tarah phail gae kitne chehron ke diye bujh gae jalte jalte ahd-e-mazi ki alamnak ghadi phir teri yaad ki taswir utha lai hai dil ke darwaze pe dastak dene dard ke hath ki badhti hui parchhai hai aur main soch raha hun baitha teri zulfon ki mahak tere badan ki khushbu ab kisi aur ke bistar pe numayan honge tere aariz ki damak teri nazar ka jadu ab kisi aur ki taskin ka saman honge tu kisi aur ki dahliz pe ja pahunchi hai main kahin aur teri yaad liye phirta hun tu kisi aur ki bahon mein simat aai hai main kahin aur tere pyar ka dam bharta hun main ne chaha tha ki main tere liye git likhun main ne chaha tha ki tu mere liye rah take main ne chaha tha ki main tere liye khwab bunun ye bhi chaha tha ki tu khwab ki tabir bane tu meri ruh ke jazbaat se takra na saki mujh ko thukra diya haalat se takra na saki zindagi waqt ki zulmat se takra na saki aur meri raat teri raat se takra na saki jabki main aaj tera koi nahin phir teri yaad mere sath ulajhti kyon hai jab tera mujh se ta'alluq hi nahin teri parchhain mere dil mein sulagti kyon hai