nilgun kohre mein lipti sham hai lafz sare apni apni kashtiyon mein baith kar lambe safar par ja rahe hain main akela is kinare par khada hun hasraten dil mein liye ye sochta hun kash main bhi ham-safar hota to main bhi dekhta ki kis tarah alfaz raston bastiyon aur manzilon par zindagi marqum karte hain