lapata

kya tum bhi kal se lapata ho
shahr-e-hazin ke har qarye mein

meri gumshudagi ki khabar
kisi be-mausami aandhi ki tarah chal rahi hai

raj nagar ke raja ne meri talash mein
apne payaade dauda diye hain

aur basti ke sabhi purohit meri haweli ke bahar matam-kunan hain
kal sham ke jhutpute mein raat girne se pahle

hum donon ko hath thame barf-zaron mein chalte kisi ne nahin dekha
aur main ne apni khidki se dur pahadon ke pichhe ojhal hote suraj ko tanha dekha

us ki aakhiri kiran meri hatheli par aag ki tarah jalne lagi
to mere ranjida dil ne tumhein yaad kiya

aur is udasi mein main ne khud ko mohabbat se sarshaar paya
mujhe laga tumhaari nili aastin ka button

mere baalon se ulajh pada hai
aur mere jode se ek moti tut ke gira hai

mujhe yun laga jhil ke billorin paniyon mein
mere chehre pe tumhaara aks pada hai

agar wo tum nahin the to aur kaun tha
wo jo bhi tha mujh se kah raha tha

kya tum bhi kal se lapata ho
meri talash ki nishan-dahi mein log bata rahe hain

ki tum ko aakhiri bar kahan suna dekha gaya
kya kisi ne raja ko bata diya

ki tum ko aakhiri bar
urdu zaban mein sher kahte

meri aankhon ke aabginon mein dekha gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close