ai mere nur-e-nazar lakht-e-jigar jaan-e-sukun nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja aaise bad-bakht zamane mein hazaron honge jin ko lori bhi mayassar nahin aati hogi meri lori se teri bhuk nahin mit sakti main ne mana ki tujhe bhuk satati hogi lekin ai meri umidon ke hasin taj-mahal main teri bhuk ko lori hi suna sakti hun tera rah rah ke ye rona nahin dekha jata ab tujhe dudh nahin khun pila sakti hun bhuk to tera muqaddar hai gharibi ki qasam bhuk ki aag mein jal jal ke ye rona kaisa tu to aadi hai isi tarah se so jaane ka bhuk ki god mein phir aaj na sona kaisa aaj ki raat faqat tu hi nahin teri tarah aur kitne hain jinhen bhuk lagi hai bete rotiyan band hain sarmae ke tah-khanon mein bhuk is mulk ke kheton mein ugi hai bete log kahte hain ki is mulk ke ghaddaron ne sirf mahngai badhane ko chhupaya hai anaj aaise nadar bhi is mulk mein so jate hain hal chalae hain jinhon ne nahin paya hai anaj tu hi is mulk mein nadar nahin hai so ja ai mere nur-e-nazar lakht-e-jigar jaan-e-sukun nind aana tujhe dushwar nahin hai so ja