lorka

zamin pe adtis bar patton ka rang badla
ruton ki mohlat to mukhtasar thi

magar tumhaari sadaon mein jagti thin sadiyan
guitar ka ek sur udasi

kisi parinde ki chikh jaise
tumhaare giton ka dusra sur nashat-e-taza

ki jaise chashme ubal rahe hon
tumhaari nazmen qadim raazon ki sarsarahat

ragon mein jaise lahu ki halchal
lahu tumhaara lahu darakhton ke pas mitti mein jazb

gahri jadon mein gum hai
magar hawaen nagar nagar shairon ke daman mein dalti hain

tumhaare giton ke phul
khwabon ki tahniyon ki safed kaliyan

wo sabz hairat
jo tum ne zaitun ke darakhton mein ghulte dekhi

nazar nazar mein chamak rahi hai
tumhaara barbat ye kah raha hai

ki git banduq se bada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close