firdaus-e-husn-o-ishq hai daman-e-lucknow aankhon mein bas rahe hain ghazalan-e-lucknow sabr-azma hai ghamza-e-turkan-e-lucknow rashk-e-zanan-e-misr kanizan-e-lucknow har samt ek hujum-e-nigaran-e-lucknow aur main ki ek shokh-ghazal-khwan-e-lucknow mutrib bhi hai sharab bhi abr-e-bahaar bhi shiraaz ban gaya hai shabistan-e-lucknow tole hue hai tegh-o-sinan husn-e-be-naqab nawak-fagan hai jalwa-e-pinhan-e-lucknow ek nau-bahaar-e-naz ko take hai phir nigah wo nau-bahaar-e-naz ki hai jaan-e-lucknow dast-e-junun ko rokiye ye khabt chhodiye ruswa hai yunhi chaak-e-gareban-e-lucknow kuchh roz ka musafir-o-mehman hun aur kya kyun bad-guman hon yusuf-e-kanan-e-lucknow ab us ke baad subh hai aur subh-e-nau 'majaz' hum par hai khatm sham-e-ghariban-e-lucknow