luDhakta patthar

raushni dub gai chand ne munh dhanp liya
ab koi rah dikhai nahin deti mujh ko
mere ehsas mein kohram macha hai lekin
koi aawaz sunai nahin deti mujh ko
raat ke hath ne kirnon ka gala ghunt diya
jaise ho jae zamin-bos shiwala koi
ye ghata-top andhera ye ghana sannata
ab koi git hai baqi na ujala koi
jis ne chhup-chhup ke jalaya meri ummidon ko
wo sulagti hui thandak mere ghar tak pahunchi
dekhte dekhte sailab-e-hawas phail gaya
mauj-e-payab ubhar kar mere sar tak pahunchi
mere tarik gharaunde ko udasi de kar
muskuraate hain darichon mein ishaare kya kya
uf ye ummid ka madfan ye mohabbat ka mazar
is mein dekhe hain tabahi ke nazare kya kya
jis ne aaankhon mein sitare se kabhi ghole the
aaj ehsas pe kajal sa bikhera us ne
jis ne khud aa ke tatola tha mere sine ko
le liya ghair ke pahlu mein basera us ne
wo talawwun ki nahin jis ka thikana koi
us ke andaz-e-kuhan aaj nae taur ke hain
wahi bebak ishaare wahi bhadke hue git
kal mere hath bike aaj kisi aur ke hain
wo mahakta sa chahakta sa ubalta sina
us ki miad hai do roz lipatne ke liye
zulf bikhri hui bikhri to nahin rah sakti
phailta hai koi saya to simatne ke liye
This is a great top shayari urdu. True lovers of kajal wali shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore chahat shayari with image urdu. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close