mabaada

badi hairan-kun hai
haqiqat khwab hai ya khwab se aage ki manzil

ye duniya khwab ki duniya pe sabqat le gai hai
fasanon se fuzun-tar zindagi hai

guman ki sarhaden hon ya takhayyul ki udanen
khirad ki jast se pichhe kahin pichhe dikhai de rahi hain

khirad ki dastaras mein kya nahin hai
nahin hai ghair-mumkin

kabhi imkan se jo mawara tha
faqat ek dastan hai

gae waqton mein jo raij asatiri khuda tha
dar-e-ijad ki chaukhat pe hairat surangon hai

ye sab idrak ka dast-e-junun hai
pas-e-idrak jalwa-afrin hai aql ki jadu-nigahi

shuur-e-asr-e-hazir mein simatti hai khudai
samaat ka ye aalam hai jo gum-gashta sadaen thi sunai de rahi hain

basarat us bala ki hai ki zarre mein bhi duniyaen dikhai de rahi hain
jahan-e-agahi ke raston par chalte chalte

sitaron ko sar-e-imkan talak ab la chuke hain
nai duniyaon ke hum bhed kya kya pa chuke hain

khirad ye chahti hai maut ko bhi zer kar de
wajud-e-hast phaila de qayam zindagi ta-der kar de

khirad ki ye fusun-kari ye itni tez-raftari kahan ja kar thamegi
kahan par khatm hogi

kahani justuju ki
jahan insan ki ugla padaw hai wo manzil

wo manzil ajnabi raston ka hasil
kisi anjaan duniya se mumasil

mujhe ye khauf khae ja raha hai
ki apni zat apne aap se hum

kahin niklen to itni dur ja pahunchen jahan se wapsi mumkin nahin ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close