mabud se

ibtida ho gai maut ke git ki
hai hawaon mein dhun dukh ke sangit ki

shahr dikhne laga hai bayaban sa
raat sunsan si din pareshan sa

sari manus galiyan hain anjaan si
zindagi chand lamhon ki mehman si

mere mabud sansen badan ke liye
ek zanjir man ke hiran ke liye

de chhanaka koi khamushi ke liye
koi jumla kisi ki hansi ke liye

zard honton pe koi dua bhej de
doston ke liye qahqaha bhej de

bhej de adh-jagi aankhon mein khwab ko
lamhe bhar ka sukun mere ahbab ko

thoda nan-o-namak har shikam ke liye
thodi muskan har chashm-e-nam ke liye

ai khuda meri sun le khuda ke liye
koi tawiz de is bala ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close