tuti phuti mori mein ek machchhar sahab rahte hain shayad wo ghar mein bhi apne machchhar hi kahlate hain biwiyan un ki chaar adad hain machchrani kahlati hain mori wale ghar mein hi ji chaaron se bahlate hain ek din wo ghar se nikle to wapas aana bhul gae main to jaanun isi tarah se roz kahin ud jate hain biwiyan un ki chup baithi thin lekin fikr thi sab ko hi chaaron aapas mein kahti thin ab aate ab aate hain pahli boli sach kahti hun main aadat se waqif hun aade tirchhe udte wo ab bin bajate aate hain dusri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun lal khatola hare bhare takiye un par lot lagate hain tisri boli sach kahti hun main aadat se waqif hun kuda ghar ke khamir ke upar rah rah kar mandlate hain chauthi boli sach kahti hun main aadat se waqif hun basi basi phalon ke ras mein khush ho ho ke nahate hain