shumal mein barf tezi se ghul rahi hai zamin ka naqsha badal raha hai samundaron mein chadha hua hai gae zamanon ka taza pani kai jazire to ab bhi hain be-khabar magar kal kahin na honge badalne wali hain sarhaden par bada hi shirin hai khwab-e-ghaflat hamare andaze khwab sab pichhe rah gae hain samundaron mein bahut se tufan uth chuke hain idhar zamin par bisat par baziyon ki tezi nazar se ojhal udhar falak par sitare ojhal wo jin ko shah-mat ho rahi hai wo sare ojhal kahf ke ghaaron mein so rahe hain wo jin ke sahil jazire firdaus-e-muntazar ke nishan-e-be-nam hone ko hain koi to jakar unhen jagae unhen batae zamin ka naqsha badal raha hai zamin se tufan uth rahe hain samundaron mein badal rahe hain