pahle jitni baaten thin wo tum se thin tere hi nam ki ek radif se sare qafiye bante aur bigadte the main apne andhe hathon se tere jism ke pur-asrar zamanon ki tahriren padh leta tha aur phir achchhi achchhi nazmen ghad leta tha tu bhi to kaghaz ke phulon ki manind har mausam mein khil jati thi or main hijr-o-visal ki khushki aur tari par tere liye har haal mein zinda rah leta tha apne liye bhi teri taraf se sari baaten kah leta tha teri surat mere hone aur na hone jagne sone ki is dhup aur chhanw mein ek hi jaisi rahti thi aur meri sanson ka bakht tumhaare hi pallu se bandha tha lekin ab to teri sadi ke sab lahariye mere jism ko das bhi chuke hain ab to jao meri purani nazmon ki almari mein aaram se ja kar so jao kyunki main ab apne aap se baaten karna chahta hun