kitni viran hai ye mahfil-e-shab na sitare na charagh ek ghani dhund hai gardun pe muhit chand hai chand ka dagh phailte jate hain manzar ke khutut bujhta jata hai dimagh raste ghul gae tariki mein tod kar zoam-e-safar kaun had-e-nazar dekh sake mit gai had-e-nazar saikdon manzilen tai kar to chuke lekin ab jaen kidhar aasman hai na zamin hai shayad kuchh nahin kuchh nahin in khalaon mein pukaren to kise koi sunta hi nahin ek duniya to hai ye bhi lekin apni duniya si nahin dosto aao qarib aa jao aa ke dekho to sahi ek halqe mein bujhi aankhon ko la ke dekho to sahi shayad aawaz pe aawaz aae! de ke dekho to sahi