main ne chaha tha koi ujale sa hath meri ungli pakad kar mujhe aage badhna sikhae madrason daftaron shah-rahon makanon dukanon talak le chale lekin aisa hua jis jagah aankhen kholi thi main ne wahan hath sare roti banane pe mamur the khauf aata tha ghar se nikalte hue dagmagate qadam gung alfaz bebas nigahen liye aage badhti thi main chunki rukna koi hal nahin tha so main apni gali se nikal kar jahan bhi gai ajnabi meri sahmi hui zat pe darte darte ada hoti har baat pe fiqre kaste rahe aur hanste rahe tab se ab tak nahin yaad kitne hi dariya bahe kab gulabi badan sanwla ho gaya ujli be-dagh aankhon mein kab dard ke zard mausam utar aae kab aaina dhul se bhar gaya lekin ab daftaron shah-rahon makanon dukanon mein jate hue khauf aata nahin aasmanon ko chhuti imaraat se ajnabi sar-zaminon se unche qadon tez-raftar dariyaon se khauf aata nahin ab main chalti hun to mere hamrah chalti hain nazmen meri man se nazmen bhai se nazmen waqt tu ne jo mera gulabi badan sanwla kar ujalon si nazmen mujhe di hain tera bahut shukriya