main ek aansu ikaTTha kar raha hun

mera dukh kuon ki taraiyon mein utar gaya hai
main use khinch kar nikal lunga

meri aankhon mein ek aabshaar ki dhund phail gai hai
main use ek aansu mein jama kar lunga

hum ne ek hi ghunt se pyas bujhai
jo tum ne halq ke andar se chakha

aur mere honton ne
tumhaare halq ke bahar se

tum hamari taraf rukh kar ke kitab dekhte
aur takhta-e-siyah ki taraf rukh kar ke

likhte
main bhi ek hisabi uljhan suljha raha tha

tumhaare zanu
tumhaare kulhon se ziyaada farba kyun hain

tumhein mili hui nematon ke tashakkur mein
jhuki rahne wali brasier

mere istiqbaal ke liye khadi ho gai thi
mujhe tumhaare kulhon ki masumiyat mar dalegi

gardan se niche
tumhaari ridh ki haddi par sanp lipta hua tha

kahan chala gaya
tumhaari aankhon mein mere liye

ek khair-maqadmi rasta bichha tha
jis par main is justuju mein chalta jata

tumhaari aankhen asl mein kahan waqe hain
tumhaari pusht par lipta sanp

mere sine par reng raha hai
kash main use

apni tangon ke darmiyan ghont sakta
danton ne mere hont barbaad kar diye

main tumhaare rukhsaron par
in ka tukhm bauna chahta tha

zindagi main ne bhik mein wasul ki
ab wo mere gullak mein gal rahi hai

aaj main use tod dunga
mera dukh kuon ki taraiyon mein utar gaya hai

aaj main use ek aansu mein ikattha kar dunga
tum use

apni zaban ki nok par utar kar thuk dena
zamin par

ya mere munh par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close