main gautam nahin hun magar main bhi jab ghar se nikla tha ye sochta tha ki main apne hi aap ko dhundne ja raha hun kisi ped ki chhanw mein main bhi baithunga ek din mujhe bhi koi gyan hoga magar jism ki aag jo ghar se le kar chala tha sulagti rahi ghar se bahar hawa tez thi aur bhi ye bhadakti rahi ek ek ped jal kar hua rakh main aise sahra mein ab phir raha hun jahan main hi main hun jahan mera saya hai sae ka saya hai aur dur tak bas khala hi khala hai